Tuesday, 1 November 2016

Humare Hai Rehbar Hussain Ibne Haidar Lyrics

Humare Hai Rehbar Hussain Ibne Haidar Lyrics

Humare hai rehbar Hussain Ibne Haidar
Sadaqat ke paikar Hussain Ibne Haidar

Kiya jiski khatir taveel apna sajda 
Woh Sibte Payambar Hussain Ibne Haidar

Lahu se kiya jisne islam zinda 
Ali ka woh dilbar Hussain Ibne Haidar

Rahega hame yaad har dum tumhari 
Shahadat ka manzar Hussain Ibne Haidar

Ke barso se tum oodh kar so rahe ho
Tahammul ki chadar Hussain Ibne Haidar

Jalaya hai maine bhi shamme muhabbat 
Mere dil ke andar Hussain Ibne Haidar

Kiya aapka zikr maine toh mera 
Huwa dil munawwar Hussain Ibne Haidar

Tumhare hi dum se fiza lag rahi hai 
Mu'attar Mu'attar Hussain Ibne Haidar

Mujhe bhi ata kardo nisbat tumhari 
Banalo Sag e Dar Hussain Ibne Haidar

Tumhare hi sadqe me mehshar me humko 
Mile jaam e Kausar Hussain Ibne Haidar

Tumhari hi kashti panagaahe Shakir 
Tum hi mere yaawar Hussain Ibne Haidar

No comments:

Post a Comment