Tuesday, 1 November 2016

Hamare Aaqa Hamare Maula Imam e Azam Abu Hanifa Lyrics

Hamare Aaqa Hamare Maula Imam e Azam Abu Hanifa Lyrics

Hamare Aaqa hamare Maula
Imam e Azam Abu Hanifa
Hamare Aaqa hamare Maula
Imam e Azam Abu Hanifa

Zamaane bhar ne zamaane bhar me
Bohot tajassus kiya hai lekin
Mila na koi Imam tumsa
Imam e Azam Abu Hanifa

Na kyu kare naaz Ahle Sunnat
Ke tum se chamka Nasib e Ummat
Siraaj e Ummat mila hai tumsa
Imam e Azam Abu Hanifa

Hua Ulill Amr se yeh saabit
Ke teri taa'at zaroori wajib
Khuda ne unko kiya humara
Imam e Azam Abu Hanifa

Tumhare aage tamaam aalam
Na kyu kare Zaanu e Adab kham
Ke peshwayaane Deen ne maana
Imam e Azam Abu Hanifa

Kisi ki aankho ka tu hai taara
Kisi ke dil ka bana sahara
Magar kisi ke jigar me aaraa
Imam e Azam Abu Hanifa

No comments:

Post a Comment